Khuda Bhi Jab Tumhe Mere Paas Dekhta Hoga Lyrics
khuda bhi jab tumhe mere paas dekhta hoga khuda bhi jab tumhe mere paas dekhta hoga itni anmol cheez de di kaise, sochta hoga tu bemisaal hai, teri kya misaal du aasmaan se aayi hai, yehi keh ke taal du phir bhi koi jo puchhe, kya hai tu kaisi hai haatho me rang leke hawaa me uchaal du hawaa me uchhal du khuda bhi jab tumhe mere paas dekhta hoga itni anmol cheez de di kaise, sochta hoga jo bhi zameen tere paaon tale aaye kadmo se chhu ke woh aasmaan ho jaaye tere aage pheeke pheeke saare shringar hai main toh kya farishte bhi tujhpe nissar hain garmi ki shaam hai tu, jaado ki dhoop hai jitne bhi mausam hain, tere karzdaar hain tere karzdaar hain khuda bhi jab tere andaaz dekhta hoga itni anmol cheej de di kaise, sochta hoga chehra hai ya jaadu, roop hai ya khwab hai aankhe hain ya afsaana, jism ya kitaab hai aaja tujhe main padh lu, dil me utaar lu hontho se dekhu tujhe, aankho se pukar lu khwahishe ye kehti hain, kehti rehti hain leke tujhe baaho me shaame guzaar lu shaame guzaar lu khuda bhi ab tujhe din raat dhoondta hoga itni anmol cheej de di kaise, sochta hoga