Aayat Lyrics
tujhe yaad kar liya hai
  tujhe yaad kar liya hai
  aayat ki tarah
  kaayam tu ho gayi hai
  kaayam tu ho gayi hai
  rivayat ki tarah
  tujhe yaad kar liya hai
  marne talak rahegi
  marne talak rahegi
  tu aadat ki tarah
  
  tujhe yaad kar liya hai
  o tujhe yaad kar liya hai
  aayat ki tarah
  
  ye teri aur meri
  mohabbat hayat hai
  har lamha isme jeena
  muqaddar ki baat hai
  
  kehti hai ishq duniya jise
  kehti hai ishq duniya jise
  meri jaan-e-mann
  iss ek lafz mein hi
  chhupi qaaynaat hai
  
  mere dil ki rahto ka tu
  zariya ban gayi hai
  teri ishq ki mere dil mein
  kayi eid mann gayi hai
  tera zikr ho raha hai
  tera zikr ho raha hai
  ibaadat ki tarah
  
  tujhe yaad kar liya hai
  o tujhe yaad kar liya hai
  aayat ki tarah
                            
                            
                        