Bharat Bhagya Vidhata Uth Lyrics
teen rang the ek chakr tha
  purkho ne jinhe tha seencha
  ek khwab tha charkhe pe buna
  apna vatan hindustaan hai pukarta
  hai pukarta sunlo 
  hai pukarta hai pukarta sunlo 
  ek khwab tha
  
  ye khwab bahut nazuk hai ji ye mangta hi hifazat hai ji
  ye aas liye hai khada haule se humko keh raha
  o bharat bhagya vidhata uth mat moond re apni aankhe uth
  zameen o aasman ki kasam tujhe tham vatan ka hath uth
  
  ek khwab tha charkhe pe buna apna vatan hindustan
  hai pukarta hai pukarta sunlo
  hai pukarta hai pukarta sunlo ek khwab tha
  
  hai desh tera ghayal pada fariyadi banke waqt khada
  hai faisla tere hathon me kis mod mudega raasta
  punjab sindh gujarat maratha dravid utkal banga uth
  gani hai tujhe jai gatha uth
  o bharat bhagya vidhata uth
  wo jo khwab tha charkhe pe buna apna vatan hindustan
  hai pukarta hai pukarta sunlo hai pukarta hai pukarta sunlo
  
  o bharat bhagya vidhata uth mat moond re apni aankhe uth
  zameen o aasman ki kasam tujhe vatan ka haath uth
  punjab sindh gujarat maratha dravid utkal banga uth
  gani hai tujhe jai gatha uth bharat bhagya vidhata uth