India Re Lyrics
india re aao, muthi mein dariya, pakad ke chalo
  bandhu re aao, parbat se utro, akad ke chalo
  aao garajte aur barso, barish ki bauchhar
  ban ke aao
  bandhu re aao, parbat se utro, akad ke chalo
  
  he dana dana barso, kona kona garjo
  bandhu re sare, umad ke chalo
  barsenge hum sare, hum sare barsenge
  barsenge hum sare, hum sare barsenge
  kosaro kheti mein, kheton ki faslon mein
  chal bandhu uth bandhu, uth bandhu
  india re aao, muthi mein dariya, pakad ke chalo
  
  tangenge sawan, pichwade aangan chalo
  jab chahe boye pani ki bunde
  hariyali, hariyali phule re
  barsenge hum sare, hum sare barsenge
  barsenge hum sare, hum sare barsenge
  rakh patthar parbat par, logon ne rakhi hai
  seeno mein deeware, deeware
  india re aao, muthi mein dariya, pakad ke chalo
  
  mathe se matha milakar zara sochna
  ganga kaveri mat khojna
  ye apne hi pani ki hai yojna
  barsenge hum sare, hum sare barsenge
  boyenge hum sare, hum saare boyenge
  hath laga sathi, akaash utha sathi
  jeene ka sapna hai, kal kal apna hai
  hath laga sathi, akaash utha sathi
  jeene ka sapna hai, kal kal apna hai
  hath mila, hath laga
  dharti ke andar se dariya nikale
  dariya se paani ki kyari banaye 
  kiyariyon mein suraj ugaye
  sathi zamee par ho ujala
  barsenge hum sare, hum saare barsenge
  barsenge
  india re aao, muthi mein dariya, pakad ke chalo
  bandhu re aao, parbat se utro, akad ke chalo
  aao garajte aur barso, barish ki bauchhar
  ban ke aao
  bandhu re aao, parbat se utro, akad ke chalo
  
  he dana dana barso, kona kona garjo
  bandhu re sare, umad ke chalo
  he dana dana barso, kona kona garjo
  bandhu re sare, umad ke chalo
  barsenge hum sare, hum sare barsenge
  boyenge hum sare, hum sare boyenge
  akash utha sathi, jeene ka sapna hai 
  hai kal kal apna hai, kal apna
                            
                            
                        