Ajab Ek Pagal Si Ladki Hai Lyrics

ajab ek pagal si ladki hai ajab ek pagal si ladki hai mujhe har khat mein likhati hai batao tum mujhe pehle ke jaise pyaar karte ho tumhe har waqt kya kabhi meri yade satati hai nazaron mein tumhe dikhati hain kya parchhaiya meri tumhe kya shaam ko abhi meri baahein bulaati hai ajab ek pagal si ladki hai tumhaari aankh mein chhup kar kya mera khwaab rehta hai tumhara dil abhi tak kya meri khatir dhadkta hai tumhein khamosiyo me kya meri aawaaz aati hai andheron me abhi tak kya mera chehra chamkta hai ajab ek pagal si ladki hai main kehta hu main uljha hu ghum e duniya me kuch aisa na ab wo dil hi baaki hai na ab wo dhadkane baaki sheher se shaam tak jeevan mein itna shor rehta hai na wo khamoshiya baaki na ab wo aahate baaki main chahun bhi to tumko yaad karne ki nahi fursat bada mashruf hai har pal kaha milati hai ye mohalat wo phir se puchhati hai kyaa bhula dala mujhe tumne wo ek maasum saa rishta jala daala usse tumne ajab ek pagal si ladki hai main kehta hu jahaan ki aag me sab kuchh jala lekin tumhara khwab aankhon me pada hai adhjala lekin main tumko bhul jaane ka yakeen khud ko dilata hoon tumhare bin bhi hu zinda yahi sab ko batata hu magar aankhon mein rehta hai tumhare naam ka aansu har ek mehfil mein yun to main hamesa khil khilata hoon ajab ek pagal si ladki hai mere dil ke har ek kone mein ab tak tu dhadkti hai koi bhi phool dekhun main to usme tu mehkti hai tere hi khwaab ke jugnu mere palkon pe aate hai teri hi yaad raato mein sitaaron si chamkti hai hai jinko tajurba ulfat ka wo humko batate hai jinhe hum bhul na chahein wo aksar yaad aate hai hunar yun to zamane mein mujhe kyaa kuch nahi aaya tumhein main bhul jaaun bas yahin jaadu nahi aaya tumhein main bhul jaaun bas yahi jaadu nahi aaya