Zaruri Tha Lyrics

lafz kitne hi tere pairo se lipte honge tune jab aakhiri khat mera jalaya hoga tune jab phool, kitabon se nikaale honge dene waala bhi tujhe yaad to aaya hoga teri aankhon ke dariya ka utrna bhi zaruri tha mohabbat bhi zaruri thi, bichhadna bhi zaruri tha zaruri tha ki hum dono tawaaf-e-aarzu karte magar phir aarzuo ka bikharna bhi zaruri tha teri aankhon ke dariya ka utrna bhi zaruri tha bataao yaad hai tumko wo jab dil ko churaya tha churaai cheez ko tumne khuda ka ghar banaya tha wo jab kehte the mera naam tum tasbih mein padte ho mohabbat ki namaazo ko kada karne se darte ho magar ab yaad aata hai wo baatein thi mahaz baatein kahin baaton hi baaton mein mukarna bhi zaruri tha teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaruri tha wahi hai surate apni wahi main hu, wahi tum ho magar khoya hua hu main magar tum bhi kahin gum ho mohabbat mein daga ki thi so kaafir the so kaafir hain mili hain manzile phir bhi musaafir the, musaafir hain tere dil ke nikaale hum kahan bhatke, kahan pahunche magar bhatke to yaad aaya bhatakna bhi zaruri tha mohabbat bhi zaruri thi, bichhadna bhi zaruri tha zaruri tha ki hum dono tawaaf-e-aarzu karte magar phir aarzuo ka bikharna bhi zaruri tha teri aankhon ke dariya ka utrna bhi zaruri tha