Aaj Ke Naam Aur Aaj Ke Ghum Ke Naam Lyrics
aaj ke naam aur aaj ke gham ke naam
  aaj ka gham ke hai zindagi ke bhare
  gulsita se khafa, zard patton ka ban
  zard patton ka ban jo mera desh hai
  dard ki anjuman jo mera desh hai
  unn dukhi maaon ke naam, unn dukhi maaon ke naam
  raat me jinke bachche bilakhte hai
  aur nind ki maar khaaye huye baajuo se sambhalte nahi
  dukh bataate nahi, minnato zaariyo se behalte nahi
  unn haseenaon ke naam, unn haseenaon ke naam
  
  jinki aankhon ke gul chilmano aur dareecho ke belon pe
  bekaar khil khil ke murjha gaye hai
  unn beyahtaon ke naam, unn beyaahtaon ke naam
  jinke badan bemohabbat riyaatar 
  se jo thee saj saj ke ukta gaye hai
  bewaaon ke naam
  katadiyon aur galiyon mohallon ke naam
  
  jinke naapaak khashaak se 
  chand raato ko aake karta hai aksar vazoo
  jinke saayon me karti hai aahob ka
  aanchalon ki hina, chudiyon ki khanak, kaakulon ki mehak
  aarzoo mand seeno ki apne pasine me jalne ki boo
  padhnewaalo ke naam
  aaj ke naam aur aaj ke gham ke naam
  unn dukhi maaon ke, unn haseenaon ke
  unn beyahtaon ke naam
                            
                            
                        