Martaba Naam Aur Izzat Lyrics

martab, naam martab, naam aur izzat nahi acchi lagti martab, naam martab, naam aur izzat nahi acchi lagti martab, naam aur izzat nahi acchi lagti martab, naam aur izzat nahi acchi lagti kaun hai wo, kaun hai wo jise shohrat nahi acchi lagti kaun hai wo jise shohrat nahi acchi lagti kaun hai wo humko ye aapki aadat nahi acchi lagti humko ye aapki aadat nahi acchi lagti humko ye aapki aadat nahi acchi lagti pyar ke waqt pyar ke waqt shikayat nahi acchi lagti pyar ke waqt shikayat nahi acchi lagti pyar ke waqt log isko bhi adakari samajh lete hai log isko bhi adakari samajh lete hai log isko bhi adakari samajh lete hai had se jyada had se jyada bhi shrafat nahi acchi lagti had se jyada bhi shrafat nahi acchi lagti had se jyada bhukh lagti hai to jajbaat bhi mar jate hai bhukh lagti hai to jajbaat bhi mar jate hai bhukh lagti hai to jajbaat bhi mar jate hai pet khali pet khali ho to chahat nahi acchi lagti pet khali ho to chahat nahi acchi lagti pet khali maine jinke liye mehnat se kamayi daulat maine jinke liye mehnat se kamayi daulat maine jinke liye mehnat se kamayi daulat wo nahi hai wo nahi hai to ye daulat nahi acchi lagti wo nahi hai to ye daulat nahi acchi lagti maine jinke liye mehnat se kamayi daulat hai dardnak ye bhi garibi ki daasta ek naujawan ke the bahan, bhai, budhi maa na meharba tha waqt to bigda nasib tha ye khandan shahar me sabse garib tha ek roj, ek roj naujawan ko aaya yu hi khayal pardes jake main dikhau apna kuch kamal phir kar liya irada ke mehnat karunga main daulat kamake, maa ki bhi khidmat karunga main ujde huye se ghar ko main gulshan banaunga bhai ko raja, bahan ko dulhan banaunga roji ke waaste, wo watan se nikal gaya jaise ke ek phul chaman se nikal gaya maausiya thi aur andhereo ka tha safar lekin naujawa ki ujalao pe thi khabar himmat se, hausle se wo manjil pe aa gaya tuta hua safina bhi sahil pe aa gaya pahle uthaya bojh bhi majdur ki tarah aksr hua jalil bhi majbur ki tarah phir rafta rafta kaam nikalta chala gaya dushvar raasto me sambhalta chala gaya pahchan badhte badhte use naukri mili julmat kade me jaise nayi roshni mili kuch meharban uspe jo taqdeer ho gayi khud apne karobar ki tadbeer ho gayi phir usne karobar ko aisa jama liya uski talab se jyada hi paisa kama liya nikla tha ghar se jo kabhi muflis ke haal me wo shahjada ban gaya bas chand saal me jab ban gaya amir to aayi watan ki yaad maa ka khayal aaya to bhai bahan ki yaad jab ghar lautne laga wo leke maal-o-jar tab usko raaste me mili ye buri khabar ke uske, ke uske watan me kuch bure halat ho gaye khud uske shahar me hi fasanat ho gaye aaya wo shahar me to the manjar jale huye aaya wo shahar me to the manjar jale huye aankho ne uski dekhe kai ghar jale huye aankho me ashq the to jigar ho gaya tha chaak khud uska ghar bhi ho gaya sholo me jalke khak maa bhi, bahan bhi, bhai bhi sholo me jal gaye arman uske jitne the ashqo me dhal gaye jo hath, jo hath usne socha tha jannat banayenge kya thi khabar ajijo ki turbat banayenge kya jane kis tarah wo ye sadma bhi sah gaya daulat ko daala aag me aur roke kah gaya maine jinke liye mehnat se kamayi daulat maine jinke liye mehnat se kamayi daulat maine jinke liye mehnat se kamayi daulat wo nahi hai wo nahi hai to ye daulat nahi acchi lagti wo nahi hai to ye daulat nahi acchi lagti wo nahi hai to ye daulat nahi acchi lagti wo nahi hai