Jhuka Jhuka Ke Nazar Yun Uthayi Jati Hai Lyrics
jhuka jhuka ke nazar yu uthai jati hai 
  jhuka jhuka ke nazar yu uthai jati hai 
  ke jaise shama bhujakar jalai jati hai 
  jhuka jhuka ke nazar yu uthai jati hai 
  jhuka jhuka ke nazar 
  zaban jalti hai jiske bayan karne se 
  zaban jalti hai jiske bayan karne se 
  wo dasta to nazar se sunai jati hai 
  wo dasta to nazar se sunai jati hai 
  jhuka jhuka ke nazar 
  
  anokhi bat hai karti hai aur bhi ruswa
  anokhi bat hai karti hai aur bhi ruswa
  dilo me jitni mohabbat chhupai jati hai 
  dilo me jitni mohabbat chhupai jati hai 
  jhuka jhuka ke nazar 
  ye log dekhenge kaise dhua mohabbat ka
  ye log dekhenge kaise dhua mohabbat ka
  ye aag wo hai jo dil me lagai jati hai 
  ye aag wo hai jo dil me lagai jati hai 
  jhuka jhuka ke nazar 
  
  churake dil ko mere muskura ke kahte hai 
  churake dil ko mere muskura ke kahte hai 
  churane wali har ek shay churai jati hai 
  churane wali har ek shay churai jati hai 
  jhuka jhuka ke nazar 
  zamana kyu hai mohabbat ke nam ka dushman
  zamana kyu hai mohabbat ke nam ka dushman
  ye chij wo hai jo har dil me pai jati hai
  ye chij wo hai jo har dil me pai jati hai
  jhuka jhuka ke nazar yu uthai jati hai 
  ke jaise shama bhujakar jalai jati hai 
  jhuka jhuka ke nazar yu uthai jati hai 
  jhuka jhuka ke nazar