Hai Ye Raavan Ka Raaj Lyrics
hai ye ravan ka raaj
  gum hai shri raam aaj
  kaise ho lanka dahan
  har shay khamosh hai
  ye kiska dosh hai
  ho raha seeta haran
  
  dharti niraash hai
  sahma aakaash hai
  khatre me sara sansaar
  bebas insaan hai
  kaisa bahgwaan hai
  sunta nahi hai pukaar
  
  bhar jata jab ghada papi ke paap ka
  hota hai tab uday suraj isaaf ka
  ban ke vo roshni duniya me chhayega
  hum ko vishwaas hai ek din vo aayega
                            
                            
                        