Kuch Kar Maula Lyrics
kuchh kar maula, kuchh kar maula
  dil hone ko hai patthar maula
  kuchh kar maula, kuchh kar maula
  zakhmo ko par bhar de maula
  
  duniya bhar me tabahi kyun hai
  chup tu aise ilaahi kyun hai
  kahin gam hai, matam hai
  kahin aankhe sabhi nam hain
  kahin khoon bhi ek rang hai
  kahin tere naam se jang hai
  kuchh kar maula, kuchh kar maula
  zakhmon ko par bhar de maula
  kuchh kar maula, kuchh kar maula
  rasta de, rehbar de maula
  
  darbadar main dhoop me tarasa re
  barsa na paani ka katra re
  kis kadar khata bhi kya hui
  batla de, ummide kyun kam hain
  kyun zakhm hi marham hain
  kya itne bure ham hain
  naraz tu har dam hain
  kuchh kar maula, kuchh kar maula
  zakhmo ko par bhar de maula
  kuchh kar maula, kuchh kar maula
  rasta de, rehbar de maula
  
  duniya bhar me tabahi kyun hai
  chup tu aise ilaahi kyun hai
  kahin gam hai, matam hai
  kahin aankhe sabhi nam hain
  kahin khoon bhi ek rang hai
  kahin tere naam se jang hai
  kuchh kar maula, kuchh kar maula
  dil hone ko hai pathar maula
  kuchh kar maula, maula, maula
                            
                            
                        