Sapna Re Sapna Lyrics
sapna re sapna hai koi apna, ankhiyo me aa bhar ja
  ankhiyo ki dibiya bhar de re nindiya, jadu se jadu kare ja
  sapna re sapna hai koi apna, ankhiyo me aa bhar ja na
  ankhiyo ki dibiya bhar de re nindiya, jadu se jadu kare ja na
  
  bhure bhure baadalo ke bhalu loriyan sunaye la ra ra ru 
  bhure bhure baadalo ke bhalu loriyan sunaye la ra ra ru 
  taaro ke kancho se rat bhar khelenge sapno me chanda aur tu
  sapna re sapna hai koi apna ankhiyo me aa bhar jaa
  
  peele peele kesari hain gaanv, geeli geeli chandni ki chhanv 
  peele peele kesari hain gaanv, geeli geeli chandni ki chhanv 
  bagulo ke jaise re dube huye hain re pani me sapno ke paanv
  
  sapna re sapna hai koi apna ankhiyo me aa bhar jaa
  ankhiyo ki dibiya bhar de re nindiya, jadu se jadu kar ja
  sapna re sapna, sapna re sapna
  ankhiyo ki dibiya, ankhiyo ki dibiya
  sapna re sapna, ankhiyo ki dibiya
                            
                            
                        