Arjun Vs Bheem Lyrics
hum mein taaqat bar balshaali yahan ke raaj kumaar, naam hain arjun bali mein hum shakti ke avtaar dhanush baan ho ya apne hatho mein ho talvaar nahin chukata kabhi nishana karte hain jab vaar seedhe sadhe bande hain hum bheem hamara naam hum to bhai apne kaam se hi rakhte hain kaam dholakpur ke vasi hain hum pahle nahin jhagadte kartein kaam taamam jo aake hamse yaha akadtein jwalamukhin hain hum sahas ke agni hain barsate jo bhi humko lalkaarein hum usko maar giraate thahar na paaya koi ran mein kabhi hamare aage jo bhi aaye saare hi maidaan chhod ke bhaage sau hathi ke jaisi taaqat chaal hain shero jaisi ek vaar mein hi kar dete sab ki aisi taisi mauka aane par dikha layenge hum tumhe kamaal paanv pataktein jo dharti pe hiil jaaye paatal chhote munh se badi badi baat ye toh sab karte hai hum mein itna dum hain ki hum maut se bhi ladte hai seena dekh vishaal hamara parvat bhi ghabharaye thar thar kaape jo bhule se bhi humse takraye samane wala hi harega hota nahi hamesa apne seene mein bhi hain sher sa bada kaleja abhimani ka sar to nicha to hona hi hona haslo haslo baad mein to bas rona hi rona hamse takrane ki himmat hain to phir takrao baate chhodo dum kitna hain ab hamko dikhlao bheem tumhare jaise hamne dekhe lakh hazar seh na paaye jo chhota sa ek hamara baar kuchh bhi karlo chalne na denge hum koi scheme kaan khol kar sunlo hum hai dholakpur ke bheem bheem bheem bheem chhota bheem chhota bheem dholakpur ka bheem chhota bheem chhota bheem bheem bheem bheem bheem chhota bheem bheem bheem bheem bheem chhota bheem chhota bheem dholakpur ka bheem chhota bheem chhota bheem