Dekhaa Hain Jindagi Ko, Kuch Itna Kareeb Se Lyrics
dekhaa hain jindagi ko, kuchh itnaa karib se

  chehre tamaam lagne lage hain ajib se
  dekhaa hain jindagi ko, kuchh itnaa karib se
  dekhaa hain jindagi ko, kuchh itnaa karib se
  
  kahne ko dil ki baat jinhe dhundhte the hum

  mahfil mein aa gaye hain wo apne nasib se
  dekhaa hain jindagi ko, kuchh itnaa karib se
  dekhaa hain jindagi ko, kuchh itnaa karib se
  
  nilaam ho rahaa thaa, kisi naajani kaa pyaar

  kimat nahin chukaayi gai ek garib se
  dekhaa hain jindagi ko, kuchh itnaa karib se
  dekhaa hain jindagi ko, kuchh itnaa karib se
  
  teri wafa ki laash pe, laa main hi daal dun

  resham kaa ye kafan jo milaa hain rakib se