Musical Lyrics
dhaal dharm ki misaal karm ki nyaya ke dagar se na dar kabhi satya pe chale sada garv karti hai praja raja chandrachur tumsa naa koi dusra, naa koi dusra kuchh dino se aa raha hai mann me suvichar yogya patra dhundhu usko sopu rajyabhaar putra to suputra hai phir aisa vichar kyun putra ke hi haatho sopte naa rajyabhaar kyun praja meri santaan hai praja ko mujhpe maan hai putra naa hai yogya rani aapko bhi gyan hai hai padosi rajya me ek shreshtha rajkumar dheer hai wo veer hai karega wo prajase pyar bijaliyo si hai kadak aapki nigaaho me loh bhi pighalta hai aapki pujao me rajpat dhundhe hai banke aandhi chhat do jo bhi banke aaye shish uska kaant do jaisa bhi hai putra tu abhi mujhko pyara hai maa ko dukh naa de naa koi uska tu sahara hai sahara hai sahara ummid leke aayi hu aapki sharanya me kar rahi hu vandana shree sant ke charan me tu andhere raasto pe do jaalo ki kiran aashish hai sabhi jiye ke shuddh ho ye tan mann shadyantra ke is chaal ko tutne naa dunga main buraai ki ho jai sada achchhai maar dunga main ho chalo sambhaal lo talvaar dhaal lo main banunga raja ab rajkumaar ko dunga jail rajkumaar ko dunga jail teri vandana jitni karu main kam hai maa teri mamta ko shat shat naman hai tu batati rahi raaste ye bure hai magar main tha jiddhi yu behta raha sambhala maa tune kayi baar lekin main kitna bura tha behakta raha kiye maaf tune gunha saare mere phir bhi tujhe main samjh naa saka hai ehsaas mujhko hai maa tu kya hai hai dil tera sagar aanchal aasma hai milta hai sab kuchh kho kar yaha pe nahi milta tujhsa maa jami aasma par tu dhup sardi ki tu pipal ki chhao ab jaan paaya jo tu naa hai maa kami teri rulayegi mujhe har ghadi hai maa teri charano mein jannat padi hai jannat padi, hai jannat padi hai jannat padi