Tamanna-E-Watan Lyrics
kabhi uthi hai tamanna mere dil me yun ke main apne mulk ko kuch de na paya kyu kabhi uthi hai tamanna mere dil me yun ke main apne mulk ko kuch de na paya kyu jinhone hasti apni rakhi daanv par mulk ke liye kya baat thi ke un jaise, hum mare na jeeye vo log kaisa mukadder liye aate hai kurbaan huye vatan pe jaha buzurgo ke saaye the humne bhi kaash kahi apna naam likha hota himmat se badhkar khet vatan ka to sincha hota jab phul khilte hai har baras chaman me shahido ke naam yaad aate hai jahan me koi magar humko kyu puchhe jara ruk ruk kar humaari lau to jali nahi desh par bujh kar kyu der abhi itni to na hui ke hum chal pade lekar kahani ankahi abhi jaagi hai lahu bhi aur himmat nahi kam kaleja ye cheer sakte hai, jab tak hai dam magar aaj ka waqt nahi maangta hai khun ye daur nahi kuch karne ka jisme ho junu to fir vatan ki daastaan me kaise ho shumaar khud karega ilaaaz uska jo vahsat ka hai gubaar