Man Hain Bhiga Aankhe Gili - II Lyrics
man hai bhiga aankhe gili
  barasna baki hai
  jali huyi hai zindagi
  raakh abhi baki hai
  thami saanse hai
  bhukhi bebasi hai
  thami saanse hai
  bhukhi bebasi hai
  
  man hai bhiga aankhe gili
  barasna baki hai
  jali huyi hai zindagi
  raakh abhi baki hai
  
  kyu khud se insa bhi darta hi firta hai
  kyu jeete ji pal pal rojana hi marta hai
  kaisi hai teri maya
  man me tere kya aaya, bata
  
  teri duniya dojak se ptthar si kyu lagti hai
  ye rishto ki dori kyu tuta hi karti hai
  kaisi hai teri maya
  ye kaisa khel rachaya, bata
  
  man hai bhiga aankhe gili
  barasna baki hai
  jali huyi hai zindagi
  raakh abhi baki hai
  thami saanse hai
  bhukhi bebasi hai
  thami saanse hai
  bhukhi bebasi hai
  
  kya teri duniya ki aarzu
  kya teri rahmat ki zustzu
  bikhre sapne ruthi khushiya
  khatre me sabki aabru
  khushi ka naamo nisha nahi
  raah to hai par disha nahi
  na manzilo ka koi pata
  na roshni hai rubru
  na manzilo ka koi pata
  na roshni hai rubru
                            
                            
                        