Aandhi Ke Sang Toofan Lyrics
aandhi ke sang tufaan aaya 
  phul phul murjhaya 
  lekin manav samjh na paye 
  gati vidhna ki haal
  
  maane na man maane na
  bada dilkash najara 
  inhi ranginiyo me, khoya insaan bechara 
  maane na man maane na
  bada dilkash najara 
  inhi ranginiyo me, khoya insaan bechara 
  
  van van bhatak raha 
  baap ik aas liye 
  beti patni se alag
  hoke koi kaise jiye 
  kaanto me maa uljhi 
  daaman kaise siye 
  nahi aankho ka tara 
  dil me aakash jamin 
  ke bhi hain rahem nahi 
  hay re ye kya ho gaya 
  kisi ne socha kabhi 
  pati gumraah huaa, beti bedaag kahi 
  ho gayi besahara 
  maane na man maane na
  bada dilkash najara 
  inhi ranginiyo me, khoya insaan bechara 
  
  naag jahrila yaha 
  jangal ko pyar to baante 
  pashu panchhi bhi kabhi 
  are ham jigar ho jaate 
  magar insaan ko dekho 
  yaha insaan hai kaate 
  haara kismat ka mara 
  maane na man maane na
  bada dilkash najara 
  inhi ranginiyo me, khoya insaan bechara
                            
                            
                        