Hume Garv Hai Hum Shudra Hai Lyrics
ye dharm manav seva ka jo hai bada har dharm se ho ho ho ho ho ho ye dharm manav seva ka jo hai bada har dharm se ye unch aur ye neech insan banta apne karmon se balidan shudron ka bhala ye samaj kyon nahi manta varchaswa apna hi liye hathi na iske saman ka ye bheem apna mantra hai hame garv hai hum shudra hain hame garv hai hum shudra hain hame garv hai hame garv hai hum shudra hain hame garv hai hum shudra hain hame garv hai ye raudra roop shudra ka hunkar bhar yuva vichitr bhed bhav se kyon bana ye jaat paat shoshan se trast hai hua wo aaj itna kruddha hai ho raha hai ekjut ye asmita ka yuddh hai hai maas ke hi hum bane, hai ragon mein rakt laal kya hai unch kya hai neech, puchhta yahi sawal bhor ka bigul baja dhal rahi ye sham hai maut ko naman mera bheem ko pranam hai ye panv mukta ab huye ghungruvo ke shor se na mitenge paap chinha pallavon ke chhor se vanchit hua kyon mandiron se, jal pe koi haq nahi shiksha se dur kyon kiya, di aushadhi talak nahi varshon ki kuntha phutkar, astra le nikal padi itihas ko badal de jo aa gayi hai wo ghadi ab samajh le ye samaj shudra bhi insan hai maut ko naman mera bheem ko pranam hai hai vaalmiki ne rach diya, wo ramayan hai vandita utkrisht dohe kabeer ke, ravidas santon ke pita parihar sahu jyotiba, hai shudro ki ek dastan hai jal rahi jo ab talak, wo beersa munda ki chita ye bheem apna mantra hai hame garv hai hum shudra hain hame garv hai hum shudra hain hame garv hai hame garv hai hum shudra hain hame garv hai hum shudra hain hame garv hai