Meri Tamannao Ki Takdir Tum Sanwar Do Lyrics
meri tamannao ki takdir tum sanwar do
  pyasi hai zindagi tum mujhe pyar do, tum mujhe pyar do
  meri tamannao ki takdir tum sanwar do
  pyasi hai jindagi tum mujhe pyar do, tum mujhe pyar do
  
  pyar ka akal pada sare hi jag me, sare hi jag me
  pyar ka akal pada sare hi jag me
  dhoke hai har dil me, nafarat hai rag rag me 
  sab ne duboya hai mujhe, par tum utar do
  pyasi hai jindagi tum mujhe pyar do, tum mujhe pyar do
  
  khushi yaha thodi si aur bahut gam hai, aur bahut gam hai
  khushi yaha thodi si aur bahut gam hai
  jitna bhi pyar mile, utna hi kam hai
  gam se bhare jivan ko pyar se nikhar do 
  pyasi hai jindagi tum mujhe pyar do, tum mujhe pyar do
  meri tamannao ki takdir tum sanwar do
  pyasi hai jindagi tum mujhe pyar do, tum mujhe pyar do
                            
                            
                        