Meri Tamannao Ki Taqdeer (Mukesh) Lyrics
meri tamannao ki taqdir tum sanwar do
  
  meri tamannao ki taqdir tum sanwar do
  pyasi hai zindagi aur mujhe pyar do
  aur mujhe payar do
  meri tamannao ki taqdir tum sanwar do
  pyasi hai zindagi aur mujhe pyar do
  aur mujhe payar do
  
  sara gagan mandap hai sara jag baraati
  sara jag baraati
  sara gagan mandap hai sara jag baraati
  man ke tere sache sache hai hum sathi
  laaj ka ye ghunghat pat aaj to utaar do
  pyasi hai zindagi aur mujhe pyar do
  aur mujhe payar do
  
  dharti karvat badle, badle har mausam
  badle har mausam
  dharti karvat badle, badle har mausam
  preet ke pujari hai badlenge nahi hum
  patjhad sa jivan hai pyar ki bahar do
  pyasi hai zindagi aur mujhe pyar do
  aur mujhe payar do
  meri tamannao ki taqdir tum sanwar do
  pyasi hai zindagi aur mujhe pyar do
  aur mujhe payar do
                            
                            
                        