Sheesho Ka Maseeha Lyrics

moti ho ki shisha jam ke sur moti ho ki shisha jam ke sur jo tut gaya so tut gaya Kab ashko se jud sakta hai jo tut gaya so chhut gaya jo tut gaya so chhut gaya tum na-haq-tukde chun chun kar daman mein chupae baithe ho shisho ka masiha koi nahi kya aas lagaye baithe ho kya aas lagaye baithe ho kya aas lagaye baithe ho shayad ki in tukdon mein kahin wo sa ghar-e-dil hai jis mein sar naz se utra karti thi sehba-e-gham-e-jana ki pari phir duniya walon ne tum se ye sagar le kar phod dia phir duniya walon ne tum se ye sa ghar le kar phod dia jo maine thi baha di mitti mein mehman ka shehpar tod diya mehman ka shehpar tod diya mehman ka shehpar tod diya ye rangin rezain hain shayad un shokh bilouri sapnon ke tum mast jawani mein jinse khilwat ko sajaya karte the naadaari daftar bhukh aur gam un sapnon se takrate the beraham tha chaumukh pathraav yeh kanch ke dhanche kya karte Ya shayad in zarron main kahin moti hai tumhari izzat ka wo jis se tumhare izzat pe bhi shamshad kado ne raqs kiya is mal ki dhun mein phirte tha bahut tajir bhi bahut rahzan bhi kai hai chor nagar yaan muflis ki gar jan bachi tau aan gayi ye sagar shishe laal o guhar salim hon to kimat paate hain yu tukde tukde ho to faqat chubhte hain lahu rulwate hai tum na haq tukde chun-chun kar daman mein chupaye baithe ho shisho ka masiha koi nahi kya aas lagaye baithe ho kya aas lagaye baithe ho kya aas lagae baithe ho yaadon ke girebaanon ke rafoo par dil ko guzar kab hoti hai ik bakhiya udherda ek siya yun umr basar kab hoti hai iss kargah-e-hasti mein jahan ye sagar shisha dhalte hai har shay ka badal mil sakta hai sab daaman pur ho sakte hai Jo haath bardhe yawar hai yaha jo aankh uthhe wo bakhtawar ya dhan daulat ka ant nahi honn ghaat mein daaku lakh magar kab loot jhapat se hasti ki dukanei khali hoti hai ya parbat parbat hire hai ya sagar sagar moti hai kuchh log hai jo is daulat par pardey latkate phirte hain har parbat ko har sagar ko neelam chadhate phirte hain kuchh wo bhi hai jo lad bhid kar ye pardey noch giraate hain haddi ke uthai giron ki har chal uljhaye jate hain har chal uljhaye jate hain har chal uljhaye jate hain In dono mein ran pardta hai nit basti basti nagar nagar har basti ghar ke sine mein har chalti rah ke mithe par ye kalak bhartey phirte hai wo jot jagate rehte hai Ye aag lagate phirte hai wo aag bujhate rehte hai sab sagar shisha lal o guhar iss baazi mein bhid jaate hai utho sab khali hathon ko is ran se bulawe aate hai