Ek Hasarat Thi Ki Aanchal Kaa Mujhe Pyaar Mile Lyrics

ek hasrat thi ki aanchal ka mujhe pyaar mile ek hasrat thi ki aanchal ka mujhe pyaar mile maine manzil ko talasha mujhe bazar mile zindagi aur bata tera irada kya hai ek hasrat thi ki aanchal ka mujhe pyaar mile maine manzil ko talasha mujhe bazar mile mujhko paida kiya sansaar me do laasho ne mujhko paida kiya sansaar me do laasho ne aur barbaad kiya qaum ke ayyaasho ne tere daaman me bata maut se zyada kya hai zindagi aur bata zindagi aur bata tera irada kya hai ek hasrat thi ki aanchal ka mujhe pyaar mile maine manzil ko talasha mujhe bazar mile jo bhi tasvir banata hu bigad jaati hai jo bhi tasvir banata hu bigad jaati hai dekhte-dekhte duniya hi ujad jaati hai meri kashti tera tufaan se vaada kya hai zindagi aur bata zindagi aur bata tera irada kya hai ek hasrat thi ki aanchal ka mujhe pyaar mile maine manzil ko talasha mujhe bazar mile tune jo dard diya uski qasam khaata hu tune jo dard diya uski qasam khaata hu itna zyada hai ki ehsaan se daba jaata hu meri taqdir bata aur taqaaza kya hai zindagi aur bata zindagi aur bata tera irada kya hai ek hasrat thi ki aanchal ka mujhe pyaar mile maine manzil ko talasha mujhe bazar mile maine jazbaat ke sang khelte daulat dekhi maine jazbaat ke sang khelte daulat dekhi apni aankho se mohabbat ki tijaarat dekhi aisi duniya me mere vaaste rakha kya hai zindagi aur bata zindagi aur bata tera irada kya hai ek hasrat thi ki aanchal ka mujhe pyaar mile maine manzil ko talasha mujhe bazar mile aadami chaahe to taqadir badal sakta hai aadami chaahe to taqadir badal sakta hai puri duniya ki vo tasvir badal sakta hai aadami soch to le uska irada kya hai aadami soch to le uska irada kya hai