Aaina Saamne Rakhoge To Yaad Aaunga Lyrics
aaina samne rakhoge to yaad aaunga
  aaina samne rakhoge to yaad aaunga
  apni julfo ko sanwaroge to yaad aaunga
  apni julfo ko sanwaroge to yaad aaunga
  aaina samne rakhoge to yaad aaunga
  
  bhul jana mujhe aasan nahi hai itna
  bhul jana mujhe aasan nahi hai itna
  jab mujhe bhulna chahoge to yaad aaunga
  jab mujhe bhulna chahoge to yaad aaunga
  aaina samne rakhoge to yaad aaunga
  
  ek din bhige the barsaat me hum tum dono
  ek din bhige the barsaat me hum tum dono
  ab jo barsaat me bhigoge to yaad aaunga
  ab jo barsaat me bhigoge to yaad aaunga
  aaina samne rakhoge to yaad aaunga
  
  yaad aaunga udaasi ki jo rut aayegi
  yaad aaunga udaasi ki jo rut aayegi
  jab koi jashn manaoge to yaad aaunga
  jab koi jashn manaoge to yaad aaunga
  aaina samne rakhoge to yaad aaunga
  apni julfo ko sanwaroge to yaad aaunga
  aaina samne rakhoge to yaad aaunga
                            
                            
                        