Kya Khub Lagti Ho, Badi Sundar Dikhti Ho Lyrics
kya khub lagti ho, badi sundar dikhti ho
  kya khub lagti ho, badi sundar dikhti ho
  phir se kaho kehte raho, achchha lagta hai
  jivan ka har sapna abb sachcha lagta hai
  kya khub lagti ho, badi sundar dikhti ho
  kya khub lagti ho, badi sundar dikhti ho
  
  tarif karoge kab tak, bolo kab tak
  mere sine me saans rahegi jab tak
  kab tak mai rahungi mann me, ha mann me
  suraj hoga jab tak nile gagan me
  phir se kaho kehte raho, achchha lagta hai
  jivan ka har sapna abb sachcha lagta hai
  o kya khub lagti ho, badi sundar dikhti ho
  tum pyar se pyari ho, tum jan hamari ho
  
  khush ho na mujhe tum pakar, mujhe pakar
  pyase dil ko aaj mila hai sagar
  kya dil me hai aur tamanna, hai tamanna
  har jivan me tum meri hi bananaa
  phir se kaho kehti raho, achchha lagta hai
  jivan ka har sapna abb sachcha lagta hai
  o kya khub lagti ho, badi sundar dikhti ho
  tum pyar se pyare ho, tum jan hamari ho
  tum pyar se pyare ho, tum jan hamari ho
                            
                            
                        