Mohe Chhota Mila Bhartaar Lyrics
ho mohe chota mila bhartar jawani kaise kate
  badi mushkil me hu mai sarkar jawani kaise kate
  mohe chota mila re bhartar jawani kaise kate
  jab aayega pee ka jamana hamri jawani dhal jayegi
  jab aayega pee ka jamana hamri jawani dhal jayegi
  haye haye jab jagega nadiya ka pani
  tab tak bagiya jal jayegi yahi hasne ke hai din char
  jawani kaise kate mohe chota mila bhartar
  jawani bolo kaise kate
  
  phul bada or bhawra chota par sara ras pee leta hai
  phul bada or bhawra chota par sara ras pee leta hai
  ek choti si sui se darji lakho kapde see leta hai
  tum kar ke dekho to pyar jawani rani aise kate
  are tum kar ke dekho to pyar jawani rani aise kate
  
  na dadi na much piya ki badi badi bate kare hai anadi
  na dadi na much piya ki badi badi bate kare hai anadi
  haye haye dudh ke dant bhi ukhde na jiske
  kya hamnashi wo bat hamari badi jalim jawani ki mar
  jawani kaise kate mohe chota mila re bhartar
  jawani bolo kaise kate
  
  jis joban ka man karo tum wo to hai bas bahta pani
  bagi jaye hath na aaye so so barso ki jindgani
  apne hal pe jo rota hai us par mujhko dukh hota hai
  apne hal pe jo rota hai us par mujhko dukh hota hai
  auro ki khatir ji kar dekho kitna sacha sukh hota hai
  tan man pe karo adhikar jawani aise kate
  chhodo chhodo dhire takrar jawani kaise kate
  karle karle balam se pyar jawani aise kate
  mohe chota mila bhartar jawani bolo kaise kate