Bhitar Bhitar Khaae Chalo Baahar Shor Lyrics

bhitar-bhitar khaye chalo baahar shor machaye chalo bhitar-bhitar khaye chalo baahar shor machaye chalo bhed kaun kholegaa munh se kaun bolegaa bhitar-bhitar khaye chalo baahar shor machaye chalo jantaa bholi-bhaali hai pet bhi jeb bhi khaali hai naaro se garmaa do lahu vaado se bahlaae chalo vaado se bahlaae chalo bhitar-bhitar khaye chalo baahar shor machaye chalo badhti jaae hai mehngaai ghatti jaye hai kamayi chizo ke daam badhae chalo insaa ka bhaav giraye chalo insaa ka bhaav giraye chalo bhitar-bhitar khaye chalo baahar shor machaye chalo haatho me kuchh note lo haatho me kuchh note lo phir chaaho jitne vote lo khote se khotaa kaam karo baapu ko nilaam karo are baapu ki tasvir hai ye tere baap ki kyaa jaagir hai ye baapu-baapu karte raho zahar dilo me bharte raho basti-basti aag lage har insaan ik naag lage praant-praant ko tang kare bhasha se bhasha jang kare koi yahaan maliyaali, koi yahaan bangali gujarati hai koi yahaan, punjabi hai koi yahaan ye hai maratha aur vo tamil aapas me yaari hai mushkil sabko chaahiye apani zami hindustaani koi nahi hindustaani koi nahi, hindustaani koi nahi desh kahaan ab desh rahaa, desh kahaan ab desh rahaa desh to simaao me bataa aur bhi tukde udaae chalo kursi apni bachaye chalo kursi apni bachaye chalo bhitar-bhitar khaye chalo baahar shor machaye chalo