Aansu Samajh Ke Kyo Lyrics
aansu samajh ke kyu mujhe aankh se tumne gira diya moti kisi ke pyar ka mitti me kyu mila diya aansu samajh ke kyu mujhe jo na chaman me khil saka main wo garib phul hu jo na chaman me khil saka main wo garib phul hu jo kuch bhi hu bahar ki chhoti si ek bhul hu jisne khila ke khud mujhe khud hi mujhe bhula diya aansu samajh ke kyu mujhe aankh se tumne gira diya aansu samajh ke kyu mujhe meri khata maf main bhule se aa gya yaha meri khata maf main bhule se aa gya yaha warna mujhe bhi hai khabar mera nahi hai ye jahan dur chala tha nind me achha kiya jaga diya aansu samajh ke kyu mujhe aankh se tumne gira diya moti kisi ke pyar ka mitti me kyu mila diya aansu samajh ke kyu mujhe