Dono Ki Aankhon Mein Jagmagaati Hai Jo Lyrics

dono ki aankhon me jagmagaati hai jo wo shararat nahin hai wo shararat nahin hai magar kuch to hai magar kuch to hai, magar kuch to hai dono ke chehro pe rang laati hai jo maana ulfat nahin hai maana ulfat nahin hai magar kuch to hai magar kuch to hai, magar kuch to hai kaun si baat hai jo nigahon me hai kya hai jo khamoshi ki panahon me hai dono hi chahatein hain ki milte rahe kya ye pehla kadam dil ki raahon me hai dono ko har ghadi paas laati hai jo maana chaahat nahin hai maana chaahat nahin hai magar kuch to hai magar kuch to hai, magar kuch to hai dhadkane tez hain saans bhi garam hai jo hawa hai chali kitni wo naram hai dono me paas aake bhi hain faasle inko inkaar hai ya koi sharam hai dono ke honthon pe machle jaati hain jo wo ijaazat nahin hai haan wo ijaazat nahin hai magar kuch to hai magar kuch to hai, magar kuch to hai dono ki aankhon me jagmagaati hai jo wo shararat nahin hai wo shararat nahin hai magar kuch to hai magar kuch to hai, magar kuch to hai