Bolo Siyavar Ramchandra Ki Jay Hai Jag Mai Jiska Lyrics
bolo siyavar ramchandar ki jai hai jag me jiska nam amar us raghubar ke gum gata hu insano me bhagwan tha jo us ram ki katha sunata hu insano me bhagwan tha jo us ram ki katha sunata hu dasrath ke ghar me janam liya toda shiv danush sawayamwar me raj tilak ka din aaya banwas mila apne ghar me tab panchwati me ek roz sone ka ek hiran aaya jab ram chale uske piche rawan sita ko har laya jab ram chale uske piche rawan sita ko har laya sita satya japat ram satya ka nam bhitara bahar sab jagah base hai sita ram bolo siyavar ramchandar ki jai sita darshan pane ke liye mandir mandir ke man me bhatke sab ko bhatkane wala wahi sita ke bina ban ban bhatke raja ko banaya banvasi dekho ye ishwar ki maya jisko chal na saka koi bhi sone ke hiran ne bharmaya jisko chal na saka koi bhi sone ke hiran ne bharmaya raghuwar ka jab dukh badha chale veer hanuman ja pahuche lanka puri karte parbhu ka dhyan bol bajrang bali ki jai phulo ki ek vatika me vanar ne dekha sita ko jakar parbhu ka sandesh diya jag janni kunj punita ko tab meghnath ne ja pakda or punch me aag laga dali us agni se bajrangi ne sab lanka rakh bana dali us agni se bajrangi ne sab lanka rakh bana dali ram nam hai punya ka rawan pap ka nam dono ke sangram ka ab dekho parinam bolo siyavar ramchandar ki jai jab teer chale sachai ke aakhir to burayi har gayi aur ram ki sena naw bina pal bhar me sagar par gayi das shish the jiske sar pe aur maut rahi jiske ghar ban dasi ek teer se mar gaya koi sidha sacha banwasi ek teer se mar gaya koi sidha sacha banwasi