Ghar Dil Me De Diya Lyrics
ghar dil me de diya, ghar me bhi de do jagah dibar pe dilruba ahsan kar do jara yu pal do pal milna acha lagta hai magar har pal tumko sahna asan nahi hai meharba na re na na re na tera dil kyu mane na mai kya kya karunga sun ke to dekho jara mai kya kya karunga sun ke to dekho jara subah jab uthogi janam chai bhi mai pilaunga ando ke sath tumko karare tost khilaunga kapde tyar karunga sandal bhi mai pahnaunga ghar bhi mai saf karunga khana bhi pakaunga na re na na re na mera dil teri mane na tune to kah diya ab mujhse sun lo jara tune to kah diya ab mujhse sun lo jara sofe pe chaddar tane sote hi rahoge just give me five minutes more kahte hi rahoge shower me ja ke aisi tum gand machaoge chadi baniyan wahi par tum chhod ke aaoge sham ko jo ghar aaungi dinner kya milega lungi me kele khata ek bandar milega na re na na re na tera dil kyu mane na ek pal ka kya kahna har pal hi hoga suhana ek pal ka kya kahna har pal hi hoga suhana he jane ja yu dil na todo bewajah yu muh na modo mai to manu dil na mane fir kya hoga allah jane tum satao na tum azama ke dekho ek chance deke dekho bin sath rahe tum kaise kaho ki dil mane na ha re ha ha re ha chalo maine kah diya ghar dil me de diya, ghar me bhi dungi jagah par yad rakhna ek hi mauka milega