Mujhko Ek Mehbub Tumsa Chahiye Lyrics
mujhko ek mehbub tumsa chahiye
  tum hi mil jaao to phir kya chahiye
  mujhko ek mehbub tumsa chahiye
  tum hi mil jaao to phir kya chahiye
  
  muhse hi roshan naam shama ka 
  main hu to phir kya kaam shama ka
  muhse hi roshan naam shama ka 
  main hu to phir kya kaam shama ka
  aaj mehfil me andhera chahiye
  mujhko ek mehbub tumsa chahiye
  tum hi mil jaao to phir kya chahiye
  
  jeene ki rasme mere hi bas me
  aaj hai mauka tod do kasme
  jeene ki rasme mere hi bas me
  aaj hai mauka tod do kasme
  sach to batlao tumhe kya chahiye
  mujhko ek mehbub tumsa chahiye
  tum hi mil jaao to phir kya chahiye
  
  aag ka dariya pyar hai maano 
  dil ka lagana khel na jano
  aag ka dariya pyar hai maano 
  dil ka lagana khel na jano
  dil lagane ka kaleja chahiye
  mujhko ek mehbub tumsa chahiye
  tum hi mil jaao to phir kya chahiye
                            
                            
                        