Baasuri Ke Sur Mein Itana Dard Kyun Hai Lyrics
kabhi socha hai ke baasuri ke sur mein itna dard kyun hai kabhi socha hai ke sukhe is sharir mein itna ehsaas kyun hai kabhi chhuti thi ye daali apne patton se kabhi tuti thi ye daali ye apni shaakhon se phir aaj bhi hawa ke jhonke se suro par ye machalati kyun hai kabhi socha hai ke baasuri ke sur mein itna dard kyun hai hontho se laga lo to ye chehak uthti hai ungaliyon ke chhune se ye behak uthti hai hontho se laga lo to ye chehak uthti hai ungaliyon ke chhune se ye behak uthti hai par jakhm se uske aaj bhi nikalti sirf tarz kyun hai kabhi socha hai ke baasuri ke sur mein itna dard kyun hai apno ne hi chalaayi thi kulhaadi is par phir usi ne chhedi thi raag dhaani is par apno ne hi chalaayi thi kulhaadi is par phir usi ne chhedi thi raag dhaani is par apna hi tha ye insaan phir bhi itna khudgarj kyun hai kabhi socha hai ke baasuri ke sur mein itna dard kyun hai kabhi socha hai ke sukhe is sharir mein itna ehsaas kyun hai kabhi chhuti thi ye daali apne patton se kabhi tuti thi ye daali ye apni shaakhon se phir aaj bhi hawa ke jhonke se suro par ye machalati kyun hai kabhi socha hai ke baasuri ke sur mein itna dard kyun hai