Yeh Khel Aakhir Kisliye Lyrics
ye khel aakhir kisliye man nahi ubta kai kai baar to khel chuke hain ye khel ham apni zindagi me khel khela hain khelte rahe hain natiza fir vahi ek jaisa ek baaki rahta hain, haansil kya hota hain zindagi har ek dusre ke andhere me hain aakhir kisliye ek kahani hain sunaau, kahaani do premiyo dono javaan khubsurat akalmand ek ka dusre se bepnaah pyaar kasmo me bandhe huye ki janm janmantar tak ek dusre ka saath nibhayenge magar fir alag ho gaye naujavaan fauz me chala gaya gaya to laut ke nahi aaya laapta ho gyaa logo ne kaha mar gaya magar mehbuba atal thi boli ki wo lautega jarur lautega pure chalish saalo tak saadhna me rahi vafadaari se intjaar kiya aakhir ek roz mehbub ka sandesh mila main aa gaya hun sivaan vaale mandir me milo kahne lagi dekha maine kaha tha na daur kar gayi mandir pahuchi par premi na dikhai diya ek aadmi baitha tha ek dam budha popla muh daant ganji aankho me mail boli yaha to koi nahi jarur kisi ne shararat ki hain maayus hokar ghar lauti waha mandir me intjaar karte karte vo bhi thak gaya koi nahi aaya chidiya ka bachcha tak nahi ha ek budhiya aai thi kamar se jhuki hui, baal uljhe uhe aankh me motiyabandi mandir me jhaankar dekha kuch badbdaai aur apne hi saath baat karte huye dur chali gayi nirash ho gaya bechara bola usne intjar nahi kiya grsti rajkar mujhe bhul gayi sandesha bheja tha fir bhi milne tak nahi aai kisliye aya aakhir kisliye ye khel man nahi ubta