Kal Nau Baje Tum Chaand Dekhana Lyrics
kal nau baje tum chaand dekhana main bhi dekhunga
  aur yun dono ki nigaahe chaand par mil jaayengi
  kal nau baje tum chaand dekhana main bhi dekhungi
  aur yun dono ki nigaahe chaand par mil jaayengi
  kal nau baje
  
  kaun keh sakata hai kal main hun kahaan tum ho kahaan 
  kaun keh sakata hai kal main hun kahaan tum ho kahaan 
  chaand lekin yahin nikalega yahaan aur wahaan
  chaand iss chehare ko aaina dikhaayi dega
  chaahati hun main tumhe chaand gawaahi dega
  kal nau baje tum chaand dekhana main bhi dekhungi
  aur yun dono ki nigaahe chaand par mil jaayengi
  kal nau baje
  
  tum mere saath ho to chain se yeh tan mann hai 
  tum mere saath ho to chain se yeh tan mann hai
  tum mere saath ho to rahe sabhi rousan hai 
  tum na hoge toh andhera yahaan chha jaayega
  tum na ghabraana ke phir chaand nikal aayega
  kal nau baje kal nau baje
  tum chaand dekhana main bhi dekhungi
  aur yun dono ki nigaahe chaand par mil jaayengi
  kal nau baje tum chaand dekhana
  kal nau baje tum chaand dekhana
  main bhi dekhunga 
  aur yun dono ki nigaahe chaand par mil jaayengi