Ek Haqeeqat Tum Lagate Ho Lyrics

ek haqeeqat tum lagte ho ek fasaana chand lage taaja taaja roop tumhaara kitna puraana chaand lage kitna puraana chaand lage pehle pehl jab dekha tumko jab tumko najaron ne chhua pehle pehl jab dekha tumko jab tumko najron ne chhua armaano ke pankh lage aur chup si hui meri ye jubaan ab apni kya baat kahun ab apni kya baat kahun mujhko deewaana chand lage taaja taaja roop tumhaara kitna puraana chaand lage kitna puraana chaand lage main kya thi kuchh bhi to nahi thi tum jo nahi the mere paas main kya thi kuchh bhi to nahi thi tum jo nahi the mere paas is chehre ki ek jhalak se ho gaya jine ka ehsaas haan ab ji chaahe chaand se keh du ab ji chaahe chaand se keh du mujhko begaana chand lage taaja taaja roop tumhaara kitna puraana chaand lage kitna puraana chaand lage kitna puraana chaand lage kitna puraana chaand lage