Chamatkar Prabhu Ne Lyrics
are jab dharti thi aag ugalti garm hawaaye jab thi chalti ye chamatkaar prabhu ne dikhalaya ek kisaan ka bhaag jagaya are ho raha jaadu daaye baaye chakit khadi hai daso dishaaye ae nikli kunve se jaldhara vo dhara jo bani fawara banjar ho gaye ab paani paani kya se kya ho gayi kahani ae sachmuch hoti, dukh ke samay me sachmuch hoti, dukh ke samay me data ki pahchaan re bhaai kya kisaan, kya kisaan aur kya bhagwaan apni jagah dono hai mahaan in dono par tika jahan apni jagah dono hai mahaan ab sunlo ek raaj ka kissa are jo gujri us baat ka kissa ae bhole bhagat ji soye hue the sukh sapno me khoye hue the itne me ek anaaj ki bori chal di baahar chori chori prabhu ke aage pichhe bori jaise chaand ke pichhe chakori are khel ye taaran haar ka dekho jaadu uske pyaar ka dekho apne aap hal chalne lage hai mehnat ke phal milne lage hai badhne laga hai khet me bija har ek paata hai ye natija aakhir karni kaam me aai jhuma khet fasal lahraai jhuma khet fasal lahraai dhany hai ishwar dhany kisaan dono ka jaadu ab pahchaana ek daya ka saagr hai to ek daya ka saagr hai ek lohe ki chattaan re bhai kya kisaan, kya kisaan aur kya bhagwaan apni jagah dono hai mahaan in dono par tika jahan apni jagah dono hai mahaan apni jagah dono hai mahaan