Apani Khoyi Huyi Pehchaan Kahaan Se Laau Lyrics

apni khoyi huyi pehchaan kahaan se laau apni khoyi huyi pehchaan kahaan se laau ik fakat jism hai ab jaan kahaan se laau apni khoyi huyi pehchaan kahaan se laau ab toh har simt andhera hi andhera hai yahaan kitna benoor hai kehne ko sawera hai yahaan jism dar jism hai bikhre huye jungle ki tarah shaakh dar shaakh gunaahon ka basera hai yahaan ab ujaalon ka wo saamaan kahaan se laau ik fakat jism hai ab jaan kahaan se laau apni khoyi huyi pehchaan kahaan se laau kuchh na bole to kahaani mein badla jaayenge aag bujh jaayegi paani mein badal jaayenge kyun ye taarikh bhala yaad rakhegi hamko hum bhi ik kissaye faani mein badal jaayenge bulbulon ka wo gulistaan kahaan se laau ik fakat jism hai ab jaan kahaan se laau apni khoyi huyi pehchaan kahaan se laau