Kab Socha Tha, Pyaar Yun Tadpaayega Lyrics
pyaar ki hairaaniya, chain mein thi bechainiya
  pyaar ki hairaaniya, chain mein thi bechainiya
  dil to parinda hai, ishq se jinda hai
  sine mein mar jaaye na
  kab socha tha, socha tha
  pyaar yun tadpaayega
  kab socha tha, socha tha
  pyaar yun tadpaayega
  kab socha tha, socha tha
  pyaar yun tadpaayega
  
  aadhi tamanna sulagti hai kyun
  ek dard ban ke bilakhati hai kyun
  aadhi tamanna sulagti hai kyun
  ek dard ban ke bilakhati hai kyun
  main saans bhi lunga agar 
  main saans bhi lunga agar
  to bhi jiya nahi jaayega
  kab socha tha, socha tha
  pyaar yun tadpaayega
  kab socha tha, socha tha
  pyaar yun tadpaayega
  kab socha tha, socha tha
  pyaar yun tadpaayega
  
  sar pe mere aasmaan ab nahi
  na paanv ke niche hai ye jameen
  sar pe mere aasmaan ab nahi
  na paanv ke niche hai ye jameen
  tinka hoon main jhonka koi
  tinka hoon main jhonka koi
  aake uda le jaayega
  kab socha tha, socha tha
  pyaar yun tadpaayega
  kab socha tha, socha tha
  pyaar yun tadpaayega
  kab socha tha, socha tha
  pyaar yun tadpaayega