Pata Hi Naa Chalaa, Kab Chehara Tera Lyrics
kab chehara tera in aankhon ne chhu liya
  pata hi na chala, pata hi na chala
  kab teri khushabu ko saanson ne chhu liya
  pata hi na chala, pata hi na chala
  anjaan tha main teri aahaton se
  baahon mein kab tum aaye
  pata hi na chala, pata hi na chala
  pata hi na chala
  pyaar ki tadap hai dil ke chaaron taraf
  aanhe hi aanhe hai, jism se rooh talak 
  jism se rooh talak
  na mila chain jabse yeh dil hai mile
  hai tute huye nindo ke silsile 
  hai tute huye nindo ke silsile
  na mila chain jabse yeh dil hai mile
  hai tute huye nindon ke silsile
  har ek lamaha palake khuli thi
  aankho mein kab tum samaaye
  pata hi na chala, pata hi na chala
  pata hi na chala
  
  abb na chaahat hai koyi, na hai justaju
  ishq mein saans lene ki hai aarju
  abb na chaahat hai koyi, na hai justaju
  ishq mein saans lene ki hai aarju
  khwabon khayaalo ke parde hataa ke
  saamne kab tum aaye
  pata hi na chala, pata hi na chala
  pata hi na chala
  kab chehara tera inn aankhon ne chhu liya
  pata hi na chala, pata hi na chala
  kab teri khushabu ko saanson ne chhu liya
  pata hi na chala, pata hi na chala
  anjaan tha main teri aahaton se
  baaho mein kab tum aaye
  pata hi na chala, pata hi na chala
  pata hi na chala, pata hi na chala