Yaara Maula Lyrics

yaara maula ha hayaaton mein hai abb bhi kya surila woh jahaan tha hamaare haathon mein rangin gubbaare the aur dil mein mehakta sama tha yaara maula woh toh khaabin ki thi duniya woh kitaabon ki thi duniya saans lete machalate huye jaljale aankh mein woh suhaana nasha tha yaara maula woh jameen thi aasmaan tha hamko lekin kya pata tha hum khade the jahapar usike kinaare pe gehra sa andha kuaa tha phir woh aaye bheed bankar haath mein the unake khanjar kholo phenko yeh kitaabein aur sambhaalo yeh saraahe jo gehra sa kunva hai ha ha angaar woh nahi hai iss kuye mein hai khajaana kal ki duniya to yahi hai kud jaao leke khanjar kaant daalo jo ho andar tum hi kal ke ho shivaaji tum hi kal ke ho sikandar hamne woh hi kiya jo unhone kahaan kyun ki unki toh khwahish yahi thi hum nahi jaante yeh bhi kyun yeh kiya kyun ki unki farmaaish yahi thi abb hamaare lagaajaaye ka khun ka abb bataao kare toh kare kya nahi hai koyi jo hamein kuch bataaye bataao kare toh kare kya