Sheher... Tab Sheher Hamaara Sota Hai Lyrics

hey ek bakat ki baat bataaye ek bakat ki jab sheher hamaaro so gayo tho raat gajab ki hey ek bakat ki baat bataaye ek bakat ki jab sheher hamaaro so gayo tho raat gajab ki hey chahu or sab or disha se lali chaayi re jugani naache chunar odhe khun nahaayi re chahu or sab or disha se lali chaayi re jugani naache chunar odhe khun nahaayi re sab oro gullaal put gayo sab oro mein hey sab oro gullaal put gayo vipda chhaayi re jis raat gagan se khun ki baarish aayi re jis raat sheher mein khun ki baarish aayi re is raat gagan se khun ki baarish aayi re jis raat sheher mein khun ki baarish aayi re sarabor ho gayo sheher aur sarabor ho gayi dhara sarabor ho gaya re jatha insaano ka bhara pada sabhi jagat yeh puchhega jab itna sab kuch ho gayo to sheher hamara kaay baay sa aankh mundke soye ro tho o sheher yeh bolio nind gajab ki aisi aayi re jis raat gagan se khun ki baarish aayi re jis raat sheher mein khun ki baarish aayi re jis raat sheher mein khun ki baarish aayi re sannata viraana khaamoshi anjaani zindagi leti hai karwatein tufaani ghirate hai saayein ghanere se rukhe baalon ko bikhere se badhte hai andhere pishaacho se kaanpe hai ji unke naacho se kahi pe woh juton ki khat khat hai kahi pe alabon ki chatpat hai kahi pe hai jhingur ki aawaazein kahi pe woh nalke ki tap tap hai kahi pe woh khaali si khidaki hai kahi woh andheri si chimani hai kahi hilate pedon ka jaththa hai kahi kuchh munderon pe rakha hai hai re re re re re re ho ho ho sunsaan gali ke nukkad par jab koyi kutta chikh chikh kar rota hai jab lamp post ki gandali pili gup roshani me kuch kuch sa hota hai jab koi saaya khud ko thoda bacha bacha kar gum saayo me khota hai jab ulake khambo ko gaadi ka garm ujaala dheeme dheeme dhota hai tab sheher hamara sota hai tab sheher hamara sota hai tab sheher hamara sota hai ho ho ho ho ho ho jab sheher hamara sota hai to maalum tumko hai kya kya kya hota hai idhar jagti hai laashe jinda ho murda udhar jindagi khota hai idhar chinkhati hai ek haua khairati uss asptaal mein bifari si haath mein uske agle hi pal garm maas ka narm lothada hota hai idhar uthi hai takraare jismo ke jhatpat len den mein unchi si udhar gaanv se rishte phunko dur gujarati aankhein dekhe rukhi si lekin usko leke rang birange mehalon mein gunjaayish hoti hai nashe mein dube sehan se khunkaar chutkulon ki paidaayish hoti hai adh nange jismo ki dekho lipi puti si lagi numaaish hoti hai laar tapakte chehro ko kuchh shaitani karne ki khwaaish hoti hai woh puchhe hai hairaan ho kar aisa sab kuchh hota hai kab woh batalao to unko aisa tab tab tab hota hai jab sheher hamara sota hai jab sheher hamara sota hai jab sheher hamara sota hai ho ho ho ho ho