Yeh Faasle Har Lamha Tadpaaye Lyrics
ye faasle har lamha tadpaaye
  din mein chubhe jine na de raat mein
  ye karwate lekar dil so jaaye
  yaadein teri jaage mere saath mein
  main kaise bataau, tanha ji na paau
  tere bina o sanam, o sanam 
  main kaise bataau, tanha ji na paau
  tere bina o sanam, o sanam
  ye faasle har lamha tadpaaye
  din mein chubhe jine na de raat mein
  
  mausam mere berang hai 
  bahaare meri tere sang hai
  mausam mere berang hai 
  bahaare meri tere sang hai
  jism khaali pada hai, jina mushkil bada hai
  tere bina o sanam, o sanam
  ye faasle har lamha tadpaaye
  din mein chubhe jine na de raat mein
  
  baahein teri ghar tha mera, kitna hasin safar tha mera
  baahein teri ghar tha mera, kitna hasin safar tha mera
  tu jo milati nahi thi, saans chalati nahi thi
  tere bina o sanam, o sanam
  ye faasle har lamha tadpaaye
  din mein chubhe jine na de raat mein
  
  wo bitein huye manjar sabhi 
  hai thehre huye nazar mein abhi 
  wo bitein huye manjar sabhi 
  hai thehre huye nazar mein abhi
  wo tera mujhse kehna, abb nahi mujhko rehna
  tere bina o sanam, o sanam
  ye faasle har lamha tadpaaye
  din mein chubhe jine na de raat mein
  ye karwate lekar dil so jaaye
  yaadein teri jaage mere saath mein
                            
                            
                        