Deewaana Hai Mera Dil Lyrics
dil mera hai ik banjaara, kahin pe ruke na na na na
  kabhi kisi ke sang chalta hai, kabhi hai tanha
  khushi mein kabhi woh roye, kabhi gum pe hase hai
  kabhi khayaalo mein woh, kabhi hawa mein hai
  
  kaun hai apna begaana, sabko jaane woh
  sapno mein bhi woh jita hai, sach ko maane woh
  aayina dil hai mera, koyi dekhle jara toh
  hasin ho chehra koyi sajle isamein jo
  aayina hai mera dil, deewaana hai mera dil - (2)
  aayina hai mera dil, deewaana
  
  hai yeh mera bhi armaan hai yaara
  usaki aankhon mein dekhu khud ko
  usake chehre pe main dekhu
  dekhu har dam apani khushiyaan
  aayina dil hai mera, koyi dekhle jara toh
  hasin ho chehra koyi sajle isamein jo
  
  dil mera hai ik banjaara, kahin pe ruke na na na na
  kabhi kisi ke sang chalta hai, kabhi hai tanha
  khushi mein kabhi woh roye, kabhi gum pe hase hai
  kabhi khayaalo mein woh, kabhi hawa mein hai
  (aayina hai mera dil, deewaana hai mera dil
  deewaana hai mera dil, aayina hai mera dil) - (3)
                            
                            
                        