Janam Diya Jis Maa Ne (Sad) Lyrics
unch nich ka pahiya
karta nirdosho ka khun
o samaj ke theke daro
ye kaisa dastur
chita ki lakdi tan ka dhacha
dono jal kar rakh hue
mukt hue wo pran ke jin par
jurm tumhare lakh hue
janam diya jis maa ne
usne bhi upkar kiya
usse badi maa wo hai
jisne maa ka pyar diya
is dunia me sabko pyari
apni hi santan hai
begano ko apna mane
uska pyar mahan hai
janam diya jis maa ne
usne bhi upkar kiya
usse badi maa wo hai
jisne maa ka pyar diya
kichad me ho ya kyari me
kichad me ho ya kyari me
phul to aakhir phul hai
kisi phul ko nich samjhna
ye mali ki bhul hai
janam diya jis maa ne
usne bhi upkar kiya
usse badi maa wo hai
jisne maa ka pyar diya
jo na bigad kar ban sakti ho
aisi koi bat nahi
ek bhi dil me jab tak mamta
balak koi anath nahi
balak koi anath nahi
janam diya jis maa ne
usne bhi upkar kiya
usse badi maa wo hai
jisne maa ka pyar diya