Duniya Ka Naara Jame Raho Lyrics

kas ke juta kas ke belt, khos ke andar apni shirt manjil ko chali sawaari, kandho pe jimedaari haath mein file, man mein dum milon mil chalenge hum har mushkil se takraayenge tas se mas na honge hum duniya ka naara jame raho manjil ka ishaara jame raho duniya ka naara jame raho manjil ka ishaara jame raho ye sote bhi hai tension aage rehne ki hai tension mehnat inko pyaari hai ekdum aagyaankaari hai ye aamlet par hi jite hain ye tonic saare pite hai waqt pe sote waqt pe khaate taan ke sina badhte jaate duniya ka naara jame raho manjil ka ishaara jame raho duniya ka naara jame raho manjil ka ishaara jame raho yahaan alag andaaj hain jaise chhidta koi saaj hain har kaam ko taala karte hain ye sapne paala karte hain ye hardum socha karte hain ye khud se puchha karte hain kyun duniya ka naara jame raho kyun manjil ka ishaara jame raho kyun duniya ka naara jame raho kyun manjil ka ishaara jame raho ye waqt ke kabhi gulaam nahi inhe kisi baat ka dhyaan nahi titli se milne jaate hain ye pedo se batiyaate hain ye hawa batore firte hain baarish ki boonde padhte hain aur aasmaan ke canvas pe ye kalaakaariyaan karte hain kyun duniya ka naara jame raho kyun manjil ka ishaara jame raho kyun duniya ka naara jame raho kyun manjil ka ishaara jame raho