Dastaan-E-Om Shanti Om Lyrics
sunne waalo suno aisa bhi hota hai
  dil deta hai jo wo jaan bhi khota hai
  pyar aisa jo karta hai 
  kya mar ke bhi marta hai aao tum bhi aaj sunlo
  dastan hai ye ki ik tha naujawan jo 
  dil hi dil me ek hasina ka tha diwana
  wo hasina thi ke jiski khubsurati
  ka duniya bhar me tha mashahoor afsana
  dono ki ye kahani hai jisko sabhi 
  kehte hai om shanti om
  
  naujawaan ki thi aarjoo, uski thi yehi justjoo
  us hasina me usko mile ishq ke saare rango roop
  naujawaan ki thi aarjoo, uski thi yehi justjoo
  us hasina me usko mile ishq ke saare rango roop
  usne na jaane yeh nadani hai
  woh ret ko samajha ke paani hai
  kyun aisa tha kis liye tha, yeh kahaani hai
  daastaan hai yeh ke uss dilkash hassena ke
  nigaahon dil me koi dusara hi tha
  bekhar iss baat se uss naujawaan
  ke khaabo ka anjaam toh hona bura hi tha
  tute khaabo ki uss daastaan ko sabhi 
  kehte hai om shaanti om
  
  sunne waalo suno aisa bhi hota hai
  koi jitna hase utna hi rota hai
  deewaani hoke hasina khaayi kya dhokhe haseena 
  aao tum bhi aaj sunlo
  daastaan hai yeh ki uss maasoom haseena ne 
  jise chaaha vo tha undar se harjaayi
  sangdil se dil lagaake, bewafa ke haath aake 
  usne ik din maut hi paayi
  ik sitam ka fasaana hai jisko sabhi 
  kehte hai om shaanti om
  
  kyun koi katil samajhata nahi
  yeh julm wo hai jo jhukata nahi
  yeh daag woh hai jo mitta nahi
  rehta hai khuni ke haath par
  khun uss haseena ka jab tha huva
  koi waha tha pahunch toh gaya
  lekin use wo bacha na saka
  roya tha pyaar uske maut par
  daastaan hai yeh ki jo pehchaanata hai 
  khuni ko woh naujawaan hai laut ke aaya
  keh rahi hai jindagi katil samajhale 
  uske sar pe chha chuka hai maut ka saaya
  janmo ki karmo ki hai kahaani jise 
  kehte hai om shaanti om 
  kehte hai om shaanti om 
  kehte hai om shaanti om
                            
                            
                        