Ishq Lyrics
ishq namaaji ishq hai kaba 
  karle ishq ka sajda 
  ishq ka rutba sabse ooncha
  rab bhi isme basta 
  ishq junun bhi hai ishq maja bhi hai 
  ishq sitam bhi hai ishq saja bhi hai 
  ye hua jisko wahi jane 
  ishq namaaji ishq hai kaba 
  karle ishq ka sajda 
  
  jisme ishq ka dard samaaye 
  wo dil sukh ka sagar hai 
  jo ik baar ishq mein dooba 
  chah bhi na nikla hai 
  phir dariya mein ek moti hain 
  jisko takdeer piroti hai 
  pyar ke paawa dhagon mein 
  ishq namaaji ishq hai kaba 
  karle ishq ka sajda 
  
  ishq mohabbat wo kya jane 
  jisne kabhi na ishq kiya 
  darde ulfat mein bhi maja hai 
  ek ghut maine iska piya 
  ye hai rab ki raja kismat se mile 
  mitha ye zahar rag rag mein chale 
  sabse hi rahe anjana 
  ishq namaaji ishq hai kaba 
  karle ishq ka sajda 
  ishq ka rutba sabse ooncha
  rab bhi isme basta 
  ishq junun bhi hai ishq maja bhi hai 
  ishq sitam bhi hai ishq saja bhi hai 
  ishq junun bhi hai ishq maja bhi hai 
  ishq sitam bhi hai ishq saja bhi hai 
  ye hua jisko wahi jane 
  ishq namaaji ishq hai kaba 
  karle ishq ka sajda
                            
                            
                        