Jindagi Lyrics

zindagi se puchha aksar tere khel ka kya hai matlab zindagi ne kaha hanskar na tha, na hai koi matlab main karti hu, jo karti hu yunhi bachpan ki jismani chot wo bahte huye aansu pyar se simti huyi baahe aur mamta ki khushbu kabhi khushi ki gahrai ghamo ka kabhi pahad pahle pyar ka anokha ehsaas sunte rahe dil ke alfaaz pahle pyar ka anokha ehsaas sunte rahe dil ke alfaaz phir dil ka girna, tutna bikhar jana zindagi tere safar me chalte jana zindagi se puchha aksar tere khel ka kya hai matlab zindagi ne kaha hanskar na tha, na hai koi matlab main karti hu, jo karti hu yunhi