Wo Jo Auron Ki Khatir Jiye Mar Mite Sochti Hu Unhe Kya Mila Lyrics
wo jo auro ki khatir jiye mar mite 
  sochti hoon unhe kya mila 
  wo jo auro ki khatir jiye mar mite 
  sochti hoon unhe kya mila kya mila kya mila 
  
  jaise badal barasta hua pyas jag ki bhujata hai  
  jaise badal barasta hua pyas jag ki bhujata hai  
  jaise chandan sabhi ke liye apni kushboo lutata hai 
  jaise chandan sabhi ke liye apni kushboo lutata hai 
  yuhi tum apna jeevan lutati rahi par tumhe pyar kiska mila 
  wo jo auro ki khatir jiye mar mite 
  sochti hoon unhe kya mila 
  
  khwab dekhe hamare liye ek pal bhi agar so gayi 
  khwab dekhe hamare liye ek pal bhi agar so gayi 
  tum ho ma sare pariwar ki sabki fikar me tum kho gayi 
  tum ho ma sare pariwar ki sabki fikar me tum kho gayi 
  tum na biyahi na hatho me mehndi rachi aur na mathe ko tika mila 
  wo jo auro ki khatir jiye mar mite 
  sochti hoon unhe kya mila 
  
  ek aurat ho meri tarha par fir bhi lagti ho devi mujhe 
  ek aurat ho meri tarha par fir bhi lagti ho devi mujhe 
  apna sab kuch mitaya magar ik nayi zindagi di mujhe 
  apna sab kuch mitaya magar ik nayi zindagi di mujhe 
  har andhere me jalti pighalti rahi dil tumhe deep jaisa diya 
  wo jo auro ki khatir jiye mar mite 
  sochti hoon unhe kya mila kya mila kya mila
                            
                            
                        